Bahut Dinon baad Nacheez Ne Kuch Pesh Karne Ki Zurrarat ki Hain,
Au Ummed Karti Hoon Ki Uska Andazen Bayan Aapko Pasand Aayeega……………….
Au Ummed Karti Hoon Ki Uska Andazen Bayan Aapko Pasand Aayeega……………….
Yuun Hee Hum Zehmat Uthaten Hain
Chand Shabdh Gungunaten Hain,
Woh Bataten Hain Raah Duniya Ko
Lekin Khud Apni Galiyon Ko Bhool Jaaten Hain,
Leten Parwaaz Ab Bhi Nahi Woh Aksar
Sirf Apne Parr Hee Fadfadaten Hain,
Paanv Apne Uth Hee Nahi Paten
Aur Woh Humen Hurr Lamhan Bulaten Hai,
Aap Kehten Hai Likha Hai Kya Humne
Aur Hum Hain Ki Buss Muskuraten Hain,
Jinko Dariya Dubon Nahi Payan
Ek Chullun Bhar Mein Who Doob Jaten Hain,
Uske Hothon Ki Mayen Kabhi Pee Theen Humne
Umrr Guzrteen Hain Aab Buss Ladkhadaten Main,
Ek Tasveer Ka Sahara Lekar Jeteen Hai Hum
Apni Gumgeen Tanhayiaan Bitane Mein………………….
3 comments:
aab main kya kahoon priyanka ji.itna hi keh sakta hoon jisko kitna hum mehsoos karte hain utna alfazon mein bayan nahi kar sakte kyonki duniya mein alfaz utne nahi jitne emotions hain.to itna hi khunga ki aapki kabiliyat ki tareef ya yun kahoon ki dastan alfazon mein bayan karna namumkin bilkul vaise hi jaise satya ko sabdon mein nahi bataya ja sakta aur jise sabdon mein bataya ja sake wo satya ho hi nahi sakta..............
Priya Ji
Bahut hi lajawab lagi ye lines ki dil ke paar ho gayee.
"Uske Hothon Ki Mayen Kabhi Pee Thee Humne, Umrr Guzartee hain Aab Buss Ladkhadane Mein."
To meri taraf se paish hai chand shabd. "Apni Gumgeen Tanhayiaan Bitane Mei...."
Wishwas ban ker log jindgi me aate hai
***********
Wishwas ban ker log jindgi me aate hai
Khuwab banker aankhon me sama jate hai
Pahle to yakin dilate hai ki wo hamare hain
Fir na jaane kiun Tanha bana jata hai.
"Priyraj"
Aap zehmat Utha te rahiye..
Yunhi hamesha gungunaate rahiye..
Gar paav uth na paaye to kya hua..
Khwabon mein to aaya-jaaya kijiye!!
Post a Comment